Monday, October 15, 2018

firsts


Aaj bhi khud se lardh leye
Aaj bhi tum ko yaad kiya
Na chah ker bhi is dil ne
Bhool jane se inkar kiya

Na subh tulu hona rukti hai
Na waqt kabhi tham jata hai
Mujh se bade ziddi aur bhi hain
Azma ke yeh jaan leya

Na Tum kabhi yeh samjho gay
Is zid mein kaise haar gaye
Aj phir tum hi jee gaye
Humne phir khud ko maar leya

Kia yaad karogay, yeh jeet bhi lo
Apne mein magun, khush raho
Tum jahan ishq ke jhande gardh gaye
Hum ne waheen dafn hone per israr keya

-eeda

No comments: